Main pichle kuch months se Zomato app use kar rahi hoon aur mera overall experience tikh raha hai. Sabse pehle, mujhe Zomato ki sabse acchi baat ye lagti hai ki iske through hum easily ghar baithe apne favorite restaurant se food order kar sakte hain. App ka interface user-friendly hai, jahan search option aur filter se apni pasand ka food dhundhna bohot easy ho jata hai. Delivery ka time mostly accurate hota hai, aur kabhi-kabhi toh expected time se pehle bhi food deliver ho jata hai, jo mujhe bohot convenient lagta hai.
Mujhe Zomato ke discounts aur offers bhi pasand hain, jo order ko affordable banate hain. Main specially weekend me friens ke sath online food order karti hoon aur ye process hassle-free hota hai. Delivery boys usually polite hote hain aur hygiene ka bhi dhyan rakhte hain.
Lekin, kuch negative points bhi hain jo main share karna chahti hoon. Kabhi-kabhi high demand ke time par delivery late ho jati hai aur app par update sahi tarah se nahi dikhai deta. Ek do baar mujhe wrong item deliver hua, jisse mujhe thoda disappoint feel hua. Customer care se contact karna thoda time-consuming process hai, aur har baar satisfactory solution nahi milta.
Dusri baat, kuch restaurants ke prices Zomato par thode zyada lagte hain compared to offline. Iske alawa, delivery charges aur platform fees kabhi-kabhi order amount ko kaafi bada kar dete hain.
Conclusion:
Overall, Zomato ek reliable aur convenient app hai jo busy lifestyle me food ordering ko simple aur fast banata hai. Agar customer support aur delivery timing me aur improvement ho, toh ye aur bhi better service provide kar sakta hai. Main isse recommend karti hoon, bas dhyan rahe ki order karte waqt details aur charges carefully check karein.